Wednesday, March 13, 2013

Published 7:51 AM by with 0 comment

Softwares Ki Leftover Files

 
Last post mein humne discuss kia tha k softwares jo ap k computer mein installed hotay hai un ka kia kerna chaiye, matlab jo useless hai jo ap use nahi kertay hai. Well aj baat kareingay jab softwares ko uninstall ker detay hai to us k baad hota kia hai. Kia software ko uninstall kernay k baad kahani khatam means aur kuch kernay ki zaroroat nahi hoti, kia us software se related her chiz computer mein se nikal gaye hai.

Problems With The Software Left Over Junk Files And Traces

Well ek normal user ko itna hi pata hota hai k jis chiz ki zaroorat nahi us ko computer mein se nikal do.. matlab uninstall kerdo.. well ap ne uninstall to ker dia.. lekin is k baad bhi ap k  computer mein us software se related buhat sari aisi chizein reh jati hai jo k problems create ker sakti hai balqay buhat se logo k sath aisa hua hoga k software ko nikaal to dia mager us k baad computer mein problems ana shuro ho gaye jaisey k:

1.   Uninstall to ker dia mager us ka name Add/Remove mein se nahi ja raha.
2.   Computer On buhat slow ho raha hai.
3.   Computer Start hotay hi buhat saray ek k baad ek errors arahay hai.
4.   Windows ki speed thori slow lagna shuro ho gaye hai.
5.   Computer hang hona shuro ho gaye hai ek dum se chaltay chaltay.

Yeh kuch reasons hai jo k software ko sahi se uninstall na kia jaye to hota hai. Ager ap sahi se software ko uninstall karay aur computer ki sahi se maintenance karay to ap k computer aur operating system (Winxp, vista, Win7) lambi chalti hai aur computers mein koi problems nahi ati hai.

What Are Left Over Junk Files And Traces In Windows

Aye dekhtay hai k jab hum kissi software ko Uninstall kertay hai ya jab koi software jab sahi se uninstall nahi hota to kia kia chizein peechay computer mein reh jati hai hamari hard disks mein.

1.   Folders – Softwares jab ap uninstall ker detay hai, to jaha per ap ne install kia hota hai means C or D drive wagera mein, to us drive mein program files ka folder hoga us mein ja ker kabhi dekhyega k aisey folders k naam nazer ayeingay jo softwares ap ne nikal bhi dye hai computer mein se phir bhi un k fodlers waha per hai.

2.   Files – Inhi folders mein files bhi hoti hai aur baaz folder khaali hotay hai. Jo files walay folder hotay hai un mein us software ki settings aur kuch saved files wagera reh jati hai.

3.   Registry – Ap k computer mein jo kuch bhi installed hai aur computer ki settings wagera hai, yeh sab computer apni ek file jo k registry kehlati hai us mein save rakhta hai special format mein. Yaha per major problems generate hoti hai. Software ko uninstall kernay k baad yaha per us ki settings reh jati hai, jis se problems ho sakti hai.

4.   Start Menu – Ap start menu per click ker k All programs per click karay to ap
ko buhat saray aisey programs ya games k icon nazer ayeingay jo ap ne uninstall ker dye hai phir bhi un k naam waha per hai. 
 
5.   Windows Startup – Ap ka computer jab start hota hai to sath mein buhat sari services bhi on hoti hai jo k computer ki settings wagera se related hoti hai. Issi doran dosray softwares bhi on hojatay hai (for example msn messenger wagera) issi tarah poranay softwares ki bhi baaz dafa yaha per settings reh jati hai, jis ki wajah se jaisey hi ap computer on kertay hai to ap ko kuch errors wagera anay lag jatay hai. Yeh issi lye hota hai k uninstalled software ne peechay kuch traces chor dye hai jo k problem ker rahay hai ab.

6.   Temp Files – Uninstalled software ki buhat sari temporary files bhi ap k computer mein reh jati hai jis ka nikalna zaroori hota hai, q k woh na sirf space le rahi hoti hai computer mein balqay trouble create ker sakti hai.
 
7.   Shortcuts – Ap k desktop per aur dosri directories mein us software se related jo nikal dia hai ap ne computer mein se buhat saray shortcuts and icons reh jatay hai. Jo kertay kuch nahi hai mager mojood rehtay hai.
 
8.   Hidden Traces – Buhat sari aisi bhi files ap k computer mein reh jati hai jo k hidden hoti hai aur nazer nahi ati tabhi. Who bhi poranay softwares hi k kuch traces wagera hotay hai.

Last Words

Yeh saray traces ap k computer mein akser reh jatay hai software k uninstallation k baad. In sab ka solution kia hai, Kia kerna chaiye in k sath taqay kissi kissam ki problem na ho computer mein, issi per anay walay posts mein baat kareingay hum.

Ap normally caisey software un-install kertay hai? Apnay Comments / Feedback neechay box mein dena mat bholiyega.  

      edit

0 comments:

Post a Comment