Thursday, March 14, 2013

Published 7:18 AM by with 0 comment

Computer Mein Se Junk Files Nikalnay Ka Tarika

To Read This Article In English Visit : Clean All Of Your Computer Junks

Apni previous posts mein hum discuss ker chukay hai k Junk Files kia hoti hai, iski 3 types per bhi baat ker chukay hai jo k Temporary Files, Temporary Internet Files / Cache aur Internet Cookies hoti hai. Humne yeh bhi dekha hai k kis tarah software ko uninstall kernay ka bawujood peechay junk reh jata hai. Aj hum finally baat kareingay is k solution per, k akhir in junk files ko system se caisey nikala ja sakta hai. 


Yeh files computer mein her jagah per pheli hoi hoti hai. To koi aisa solution hona chaiye jo k bager ziada mehnat kye hoe in sari files ko computer mein se nikal de, aur computer ko ek dum clean kerday. Aur sath hi sath Registry mein bhi jo errors wagera ajatay hai woh bhi fix kerday. Yeh sab chizein waisey to buhat saray softwares ker saktay hai, mager aisa software jo k ap easily use ker sakay bager kissi mushkil k, us software ka naam hai CCleaner.

Yeh ek Free System Optimization tool hai, jo k use kia ja sakta hai ap k computer mein se junk files, registry mein errors ko nikalnay k lye. Sab se khas baat is software ki yeh hai k yeh buhat hi asaan hai. Is ko koi bhi Non-technical banda bhi asani se use ker sakta hai. Normal pc users softwares ko install kernay se pehlay buhat sochtay hai k kia kerna hoga, ya kahi kuch aur hi ulta seedha na ho jaye. Mager is mein aisa kuch nahi hai. Simple click click kerna hai aur baqi kaam sara yeh software khud hi ker dayga. 

How to Use It – Step By Step

Installation Of CCleaner

1. Ap yeh software download ker saktay hai FileHippo.com site se by Clicking Here or ager ap main company ki site ko visit kerna chahtay hai jis ka yeh software hai, to company ka naam hai  Piriform, aur unki website ko check kernay k lye Click Here.

2. Jab file download ho jayegi (The downloadable file size is only 3.97MB) Double click the file and run the Installation.

3. Installation kernay k steps buhat hi asaan hai. Apko sirf next next kertay rehna hai (jaisa k hum laug her dafa kertay hai lolz).

4. Installation k doraan, jaisey hi yeh screen aye jaisa k ap neechay picture mein dekh rahay hai, to ab ap k uper hai k ap Google Toolbar ko install kerna chahtay hai k nahi. Check or Un-Check the tick mark and Click Install.



5. Jab setup complete ho jayega almost, to yeh dialogue box pop-up hoga as shown in below picture.



6. Yaha per yeh software pooch raha hai k,kia ap apnay emails ki login information ko browser mein save rakhna chahtay hai. Ager ap chahtay hai k save rahay to phir yeh software yeh information ap k browser mein se delete nahi karayga. Software ki recommendation to yahi hai k ap yes per click ker k information ko save hi rehnay de, mager meri advice yeh hai k yeh bhi information ap browser mein se nikal de aur No per click ker dejye.

7. Is k baad software CCleaner ki main window ap k samnay ajayegi. 



Jaisa k uper screenshot mein ap dekh saktay hai k CCleaner k 4 sections hai left hand side bar mein:
1. Cleaner
2. Registry
3. Tools
4. Options

Right now, hum baat kareingay Cleaner k feature per, aur yaha se asal kaam shuro hoga. Ager ap koi bhi system optimization software pehli dafa computer mein run ker rahay hai, to ap ko is software k results dekh ker herani hogi k ap k computer mein kitnay hi time se kitna junk mojood tha jo k problem ker raha hoga aur system ko bhi slow ker raha hoga.

The Real Action

1. Sab se pehlay mein recommend kerounga apko (at least her average computer user ko) k is software ki settings k sath ap ziada khelay nahi. Jo settings abhi is mein set hoi wi hai, wohi normal user k lye kafi hoti hai. Aur software chalanay se pehlay ager ap ne koi bhi browser open rakha hua hai to us ko bhi close kerdejye. Ab ap “Analyze button” ko press ker dejye jo k ap k computer mein jitna bhi junk hai un sab ko dhoond ker batayega k kitni falto files wagera computer mein mojood hai. Software 3 ya 4 minute hardly lega aur phir apko result show karayga jaisa k neechay screenshot mein ap dekh saktay hai .



2. Result jab software show karay, to ap ko pata chal jayega k kitni junk files hai ap k computer mein, aur unsab ka size kia hai. Mein ne uper picture mein red rectangle bhi bana dia hai jaha per in sab ka size likha hua hoga (meray computer mein junk files ka size is lye picture mein kam bata raha hai q k mein aisey softwares routinely chalata rehta ho). Ab is k baad ap “Run Cleaner” k button per click kerday (jo k neechay right side per hai) taqay yeh files computer mein se delete ho jaye.


3. Jab ap “Run Cleaner” button per click kareingay to 1 dialogue box pop-up hoga jis per likha hoga “This process will permanently delete files from your system – Are you sure you wish to proceed”.  Jis ka matlab sirf yeh hai k yeh sari files ap k computer mein se permanently delete ho jayeingi to ap aisa chahtay hai k nahi. Just click OK and you are done.



Uper bataye gaye steps per amal ker k ap ne successfully computer mein se sara junk data nikal dia hai. G bilqul… sirf yahi kerna tha… Lekin ab ap sath hi Registry ki problems ko bhi solve kerday taqay poora kaam 1 saath hi ho jaye. So let us talk about that.

Fixing of Registry Errors

1. Click on the Registry button (On your left hand sidebar) and ap ko aisi hi screen nazer ayegi jaisey k neechay screenshot mein ap dekh saktay hai.



2. Jaisey k ap dekh saktay hai k is screen per kuch kernay ko hai bhi nahi siwaye “Scan For Issues” button k press kernay k ilawa. So ap is button ko click karay taqay yeh software search ker k ap ko batayega k ap k computer ki registry mein kitni problems hai, jis ka result kuch aisa hoga jaisey neechay picture mein show kia gaya hai.



3. After viewing the result, click “Fix Selected Issues”

4. Is k baad ek dialogue box pop-up hoga jis per likha hoga “Do you want to backup changes to the registry” click Yes aur save kerday apnay computer k kissi folder mein. Yeh sirf ap registry file ka backup le rahay hai (Yaad rahay k ap zaroor backup lay registry ka)




5. After taking backup of registry, ek window pop-up hogi jis per multiple options hongay. Just Select “Fix All Selected Issues”  jaisey k neechay screenshot mein dikhaya gaya hai. 



6. Once all the cleaning is finished, Just click close. Restart your PC and you are done.

Last Words

Hope k yeh detailed article ap k lye faiday mand ho. Q k inhi chizoun ko samajh ker ap apnay computer ki sahi se maintenance ker saktay hai. CCleaner best free software hai jo k her computer user ko apnay computer mein install kerna chaiye. Yeh ap k computer mein se sara junk wagera bhi nikal deta hai aur registry ki problems ko bhi door ker deta hai, woh bhi asani k sath.

Kia apne is software ko use kia? Kia ap ko computer ki speed mein kuch farq laga? Apnay Comments / Feedback neechay box mein dena mat bholyega.

Read More
      edit

Wednesday, March 13, 2013

Published 7:51 AM by with 0 comment

Softwares Ki Leftover Files

 
Last post mein humne discuss kia tha k softwares jo ap k computer mein installed hotay hai un ka kia kerna chaiye, matlab jo useless hai jo ap use nahi kertay hai. Well aj baat kareingay jab softwares ko uninstall ker detay hai to us k baad hota kia hai. Kia software ko uninstall kernay k baad kahani khatam means aur kuch kernay ki zaroroat nahi hoti, kia us software se related her chiz computer mein se nikal gaye hai.

Problems With The Software Left Over Junk Files And Traces

Well ek normal user ko itna hi pata hota hai k jis chiz ki zaroorat nahi us ko computer mein se nikal do.. matlab uninstall kerdo.. well ap ne uninstall to ker dia.. lekin is k baad bhi ap k  computer mein us software se related buhat sari aisi chizein reh jati hai jo k problems create ker sakti hai balqay buhat se logo k sath aisa hua hoga k software ko nikaal to dia mager us k baad computer mein problems ana shuro ho gaye jaisey k:

1.   Uninstall to ker dia mager us ka name Add/Remove mein se nahi ja raha.
2.   Computer On buhat slow ho raha hai.
3.   Computer Start hotay hi buhat saray ek k baad ek errors arahay hai.
4.   Windows ki speed thori slow lagna shuro ho gaye hai.
5.   Computer hang hona shuro ho gaye hai ek dum se chaltay chaltay.

Yeh kuch reasons hai jo k software ko sahi se uninstall na kia jaye to hota hai. Ager ap sahi se software ko uninstall karay aur computer ki sahi se maintenance karay to ap k computer aur operating system (Winxp, vista, Win7) lambi chalti hai aur computers mein koi problems nahi ati hai.

What Are Left Over Junk Files And Traces In Windows

Aye dekhtay hai k jab hum kissi software ko Uninstall kertay hai ya jab koi software jab sahi se uninstall nahi hota to kia kia chizein peechay computer mein reh jati hai hamari hard disks mein.

1.   Folders – Softwares jab ap uninstall ker detay hai, to jaha per ap ne install kia hota hai means C or D drive wagera mein, to us drive mein program files ka folder hoga us mein ja ker kabhi dekhyega k aisey folders k naam nazer ayeingay jo softwares ap ne nikal bhi dye hai computer mein se phir bhi un k fodlers waha per hai.

2.   Files – Inhi folders mein files bhi hoti hai aur baaz folder khaali hotay hai. Jo files walay folder hotay hai un mein us software ki settings aur kuch saved files wagera reh jati hai.

3.   Registry – Ap k computer mein jo kuch bhi installed hai aur computer ki settings wagera hai, yeh sab computer apni ek file jo k registry kehlati hai us mein save rakhta hai special format mein. Yaha per major problems generate hoti hai. Software ko uninstall kernay k baad yaha per us ki settings reh jati hai, jis se problems ho sakti hai.

4.   Start Menu – Ap start menu per click ker k All programs per click karay to ap
ko buhat saray aisey programs ya games k icon nazer ayeingay jo ap ne uninstall ker dye hai phir bhi un k naam waha per hai. 
 
5.   Windows Startup – Ap ka computer jab start hota hai to sath mein buhat sari services bhi on hoti hai jo k computer ki settings wagera se related hoti hai. Issi doran dosray softwares bhi on hojatay hai (for example msn messenger wagera) issi tarah poranay softwares ki bhi baaz dafa yaha per settings reh jati hai, jis ki wajah se jaisey hi ap computer on kertay hai to ap ko kuch errors wagera anay lag jatay hai. Yeh issi lye hota hai k uninstalled software ne peechay kuch traces chor dye hai jo k problem ker rahay hai ab.

6.   Temp Files – Uninstalled software ki buhat sari temporary files bhi ap k computer mein reh jati hai jis ka nikalna zaroori hota hai, q k woh na sirf space le rahi hoti hai computer mein balqay trouble create ker sakti hai.
 
7.   Shortcuts – Ap k desktop per aur dosri directories mein us software se related jo nikal dia hai ap ne computer mein se buhat saray shortcuts and icons reh jatay hai. Jo kertay kuch nahi hai mager mojood rehtay hai.
 
8.   Hidden Traces – Buhat sari aisi bhi files ap k computer mein reh jati hai jo k hidden hoti hai aur nazer nahi ati tabhi. Who bhi poranay softwares hi k kuch traces wagera hotay hai.

Last Words

Yeh saray traces ap k computer mein akser reh jatay hai software k uninstallation k baad. In sab ka solution kia hai, Kia kerna chaiye in k sath taqay kissi kissam ki problem na ho computer mein, issi per anay walay posts mein baat kareingay hum.

Ap normally caisey software un-install kertay hai? Apnay Comments / Feedback neechay box mein dena mat bholiyega.  

Read More
      edit

Tuesday, March 12, 2013

Published 6:11 AM by with 1 comment

Computer mein Fuzool Softwares Ki Mushkil

To Read This Article In English Visit This Link : Useless And Junk Softwares In Computers
 
Meinay previous posts mein discuss kia tha Temporary Files, Temporary Internet Files / Cache and Internet Cookies k baray mein. Is se pehlay k hum in junk files ki cleaning k baray mein baat karay, 1 baat aur important hai jis per mein baat kerna chahta ho, woh hai woh softwares jo k ap k computers mein installed hai.

In Simple Words
 
Ap ager apnay new gher mein jatay hai, to woh ek dum khali hota hai. Ab ap ahista ahista us mein furniture daltay hai, accessories kharidtay hai, yaha taq k gher poori tarah se bher jata hai. Kuch time k baad phir ap apnay gher k lye new chizein kharidtay hai aur poorani chizoun ko gher k konay wagera mein rakh detay hai (jaisey bed k neechay, gher ki chat per, store room mein) Ap ko ehsaas bhi nahi hota hai k apka apna gher kitni hi fuzool chizoun se bhara hua hai jis ki ab zaroorat hi nahi hai. Is ka ehsaas tab hota hai jab kabhi gher ki shifting kerni parh jaye .. to uffffffff……. Laug sir pakarh ker beth jatay hai really k yeh bhi rakha hua hai… is ko to kabhi bachpan mein use kia tha lolz.
 
Back to the Point

Issi tarah jab ap computer kharidtay hai, to us waqt us mein operating system (XP, 7) k ilawa kuch nahi hota, balqay baaz dafa to yeh bhi install khud hi kerna parhta hai. Bager kissi software k ap ka computer buhat fast aur smoothly chal raha hota hai. Mager kuch hi dino baad ap us mein softwares bherna shuro kerdetay hai, aur phir 1 time ata hai k apka computer waisa nahi chalta jaisa k pehlay chalta tha. Zahiri c baat hai k jab ap computer mein itnay ultay seedhay softwares daleingay to computer ko normal kaam kernay k lye bhi mushkil hoti hai..

Behind the Scenes

Ap jab kabhi bhi koi software install kertay hai to actually ap k operating system (XP, Vista, Win7) k Registry Keys, System Files, Running Files aur kuch aur jagaho per changes ajati hai. Ab ap ne woh software to use ker lia, mager software aisa nahi hai k bas khamosh ho ker para rahayga computer mein. Jab k aisa nahi hai, asal mein hota kia hai yeh dekhtay hai.
 

1.    Aj kal k softwares jab bhi ap apna computer on kertay hai, woh bhi ussi waqt start ho jatay hai. Jis ki wajah se ap ka computer slow start hota hai aur slow hi chalta hai.
 
2.    Phir woh softwares apnay ap ko internet se check kertay hai k woh software updated hai k nahi, jis se ap k internet ki speed per effect parhta hai, aur yeh sab kaam background mein ho raha hota hai.

3.    Internet Browsers website ko kholnay mein buhat time lagatay hai.

4.    Different kissam k pop-ups atay hai screen per.

5.    Apka computer sahi se shutdown aur restart bhi nahi hota.

6.    Yaha taq k kissi folder per ap double click bhi kertay hai to us mein bhi time lagta hai.
 
Actually softwares ko install kerna aur un ko test kernay mein koi burai nahi hoti, mager unko use kernay k baad jab unki zaroorat hi nahi hai, to unko computer mein bewajah aisey rakhnay se kia faida hai kissi ka. Bas 1 dafa jo chiz computer mein install ker di to bas, computer jab taq hai woh computer k ander hi rahaygi. Aur ahista ahista 1 k baad 1 softwares ki installations ki wajah se ap k computer ki halat din ba din slow and kharab hoti jati hai.

Dosri sab se barri problem jo ham sab k sath hai woh hai Software Installation. Matlab jab bhi hum koi software install kertay hai, to bas Next, Next and Next per click kertay rehtay hai. Yaha taq k software install ho jata hai aur sath mein dosri buhat sari kharab chizein bhi ajati hai. Kissi bhi software k installation k doraan buhat saray options atay hai, jin ko parhnay k baad hi yes ya no per click kerna hota hai. Her kissam k softwares k sath akser buhat sari dosri chizein (jaisey k browser toolbars wagera) bhi install ho jati hai hamari apni kamzori ki wajah se.


1. Kam as kam Month mein 1 dafa check karay k ap ne apnay computer mein kaun kaun se softwares install ker dye hai. Aur yeh check kernay k lye ap windows k control panel mein Add/Remove mein jaye ager WinXP use ker rahay hai werna to Program and Features open karay Win Vista aur 7 mein. Aur jin softwares ki zaroroat nahi hai unko foran uninstall kerdejye

2. Please, please and please (Meri samajh se bahir hai k mein kis tarah se apse request kero) k jab bhi kuch install karay to bas NEXT NEXT NEXT FINISH per mat click kertay jaye. Balqay her dafa button press kernay se pehlay check karay k us software k saath kuch aur to download ya install nahi ho raha… BE CAREFULL

3. Apnay computer mein kam se kam softwares ko rakhay jin ki apko zaroorat hai bas.

4. Hamesha authentic matlab jani pechani sites per se hi softwares download kariye (Jaisey k Cnet, Filehippo, ZedNet etc.)

Last Words

Apni next post mein mein apko bataounga k kis tarah se junk softwares ko clean kertay hai computer mein se. Aur phir us k baad hum dekheingay k softwares ko sahi tarah se uninstall casiey kertay hai, yaha taq k un k kissi kissam k koi bhi traces computer mein na baqi rahay.
 
Ap apnay Comments / Feedback neechay box mein dena mat bholyega.
 
Read More
      edit
Published 4:36 AM by with 0 comment

Internet Cookies ka Masla aur Nasamjhi

To Read This Article In English Visit : What Are Internet Cookies And Their Role In Our Computer
Mein apnay previous articles mein discuss ker chukka ho Junk Files, Temporary Files, Temporary Internet Files and Cache. Aj hum baat kareingay Junk Files ki third type k baray mein, jo k hai Internet Cookies. Cookies kis ko nahi pasand hotay, especially mujhe to Chocolate Cookies buhat pasand hai :p mager hum yaha per khanay ki baat kernay k lye nahi aye hai.

Internet Cookies waisey to computer users ki life ko asaan kernay k lye hi banaye gaye hai. Aur aj kal ki almost her website hi yeh feature use kerti hai taqay users ko acha browsing experience mil sakay.

So What These Internet Cookies Really Are?

Jab bhi ap Internet se connect ho ker browsing ker rahay hotay hai ,to jin websites per ap ja rahay hotay hai aur jin jin web pages ko visit ker rahay hotay hai woh apki hard disk mein 1 text file save ker deti hai. Yeh text file mein user information (apki information) saved hoti hai, jo k websites apnay record k lye banati hai. Q k ager ap ussi site per dubara jatay hai to woh website sabse pehlay ap k computer mein us text file ko search karaygi, aur jaisey hi woh text file mil jayegi to website ko pata chal jayega k ap pehlay bhi issi web page per achukay hai. Yeh text file Cookies kehlati hai.

Websites sirf aur sirf apni hi banaye hoi cookies files open ker sakti hai. Woh koi bhi dosri cookies files open nahi ker sakti. Cookies files mein unique visitor ID hota hai. Jab bhi koi new user kissi website per jayega to website us k pc mein cookies ki file generate ker k Us file mein usko 1 unique user ID degi, aur wohi information apnay pass bhi save kerlaygi. To is tarah se jab bhi koi user dubara jata hai site per to apni Unique User ID se pehchana jata hai.

Cookies koi aisi dangerous chiz nahi hai jo koi bhi website ap k computer mein save ker k ap k computer mein se data nikal leingi. Aisa nahi hai. Cookies sirf 1 text file hoti hai, aur yeh khud se execute (open) nahi ho sakti. Buhat saray laug aisa bhi sochtay hai k yeh Cookies jo hai Virus hotay hai, jab k aisa nahi hai.

How This Process Actually Works?
1. Ager ap apnay browser mein kissi bhi website ka address likhtay hai, to sab se pehlay apka browser us website k main server ko contact karayga jaha per yeh website saved hai ya uploaded hai

2. Jab server mil jayega, to woh main server ap k computer mein cookies ki file ko search karayga aur jaisey hi woh file mil jayegi to apka browser us cookies ki files mein se data nikal ker main server ko send kerday

3. Ager cookies ki file us website se related ap k computer mein nahi hai to woh main server ap ko as a new user treat karayga aur apko 1 unique user ID de ker apnay database mein woh information save kerlayga. Aur same file ap k browser ko bhi forward kerdayga. Phir apka browser woh cookies ki file ko folder mein save kerdayga.

I hope k meinay apko confuse na kia hua. Ager samajh na aya ho, to is section ko araam se dubara parhnay ki koshish karay J

Why Websites Need Cookie Files?

Aj kal ki websites buhat change ho gaye hai, aur kafi modern kissam ki websites hai jo k apnay database mein her information user se related ko save ker k rakhti hai. Jaisey k

1. How many visitors came today

2. How many are new visitors

3. How many times a visitor has visited to the site

4. Keeps the user preferences.

User preferences ka matlab hai for example, ager ap gmail k sign in page per jatay hai, aur waha per apna user id and password daal ker Remember Me per bhi click ker detay hai, to woh website ap k computer mein cookies ki file ko generate karaygi aur ap ki yeh information bhi waha save kerdaygi aur apnay pass bhi record kerlaygi. Is tarah se jab bhi ap us site per dubara jayeingay to pehlay se apna user ID likha dekheingay ya phir automatically sign in ho jayeingay bager information enter kye hoe.
 
Behind The Scenes

Ager ap multiple browsers ko use kertay hai to phir ap ki cookies ki files apas mein synchronized nahi hoti. Matlab her browser mein her websites ap ko new user hi samjhaygi. Ager ap internet explorer se 1 site per jatay hai aur ussi website per firefox se bhi jatay hai, to 2 dafa cookies ki files generate hongi. Aur cookies ap k computer mein 2 alag jagaho per save hogi.

In cookies ki files ki wajah se ap ki information leak honay k bhi buhat chances hotay hai. Jaisey k ager ap koi public computer use ker rahay hai for example Internet Café, Aur waha per apni emails ko check kertay waqt ager apne Remember Me per tick laga dia to phir ap ki information us computer mein save ho jayegi cookies k ander. Ab jaisey hi koi dosra banda us computer ko use karayga to automatically ap k email account k ander chala jayega q k ap ki information waha per saved thi.

Ager ap ka Internet ka connection secured nahi hai (jaisey k wireless network) ya phir koi website hai jaha per security honi chaiye mager nahi hai (jaisey k banks ya online shopping ki sites) to phir hackers waha per anay walay her user ka data beech mein se nikal saktay hai. For example, ap to website per online shopping ker rahay hongay mager hacker background mein 1 special software ko use kertay hoe ap ki information ko Internet per se nikal lega q k woh connection hi secured nahi tha. Aisey software Packet Sniffers hotay hai

Cookies sirf websites hi nahi generate kerti balqay us website per jitnay advertisement banners hai, logos hai, links hai woh bhi cookies ki files generate kertay hai. Yeh banners, advertisements na sirf ap ka record rakhti hai balqay ap k uper nazer rakhti hai k ap kin kin websites per visit ker rahay hai aur kaha kaha click ker rahay hai. Phir yeh information woh different Marketers ko sell ker detay hai. Yeh advertisement wagera jo cookies files generate kerti hai woh Bad Cookies ya phir Malicious Cookies kehlati hai.

Ap ka computer jab bhi website per jayega to apnay comptuer mein cookies ki file ko search karayga aur phir wohi information us website ko bhi send karayga. Is chakker mein ap ka computer aur Internet dono thora slow hotay hai.

Antispyware softwares akser users ko warning detay hai k yeh cookies ki files problem karaygi q k yeh cookies ho sakta hai k tracking karay apki Internet per.

Cookies ki files waisey to koi aur dosri website open nahi ker sakti. Lekin akser site aisi programming kerti hai k jaisey hi cookies ki file generate ho wohi information dosri sites ko bhi bhej di jati hai ap k computer mein se

Last Words

Hope k yeh detailed article ap k lye faiday mand ho. Q k inhi chizoun ko samajh ker ap apnay computer ki sahi se maintenance ker saktay hai. Apni next post mein mein ab finally in junk files k solution per baat kerounga k kaun sa software use kernay chaiye jin se yeh Junk Files computer mein se araam se remove ho jaye.

Finally ap apnay comments / feedback mujhe neechay box mein dena bholyega.

 
Read More
      edit

Monday, March 11, 2013

Published 7:31 AM by with 0 comment

Temporary Internet Files / Cache kia hai

To Read This Article In English Visit : Guide To Temporary Internet Files / Cache

Humnay previous article mein discuss kia tha k Junk Files kia hoti hai, unki types bataye thi, Junk Files se kia hota hai, aur hum ne Temporary Files ko bhi discuss kia tha jo k Junk Files ki hi 1 type hai.


Aj mein apko Temporary Internet Files / Cache k baray mein bataounga k yeh kia hai aur caisey system mein ati hai. Is topic k baray mein janna her 1 k lye zaroori hai jo computer use kerta hai, taqay ap apnay computers ko different viruses aur problems se bacha sakay. 
 
Temporary Internet Files / Cache Files
 
Temporary Internet Files ek Folder hota hai Windows mein, jis mein ap k Browser ki Cache hoti hai. To phir Temporary Internet Files aur Cache mein kia farq hai aur her koi yeh Temporary Internet Files ka hi word q use ker raha hota hai.

Well Temporary Internet Files asal mein Folder ka hi naam hai, aur hum issi wajah se is k ander jo files hoti hai unko bhi Temporary Internet Files hi kehtay hai, jab k woh Cache hoti hai. (Waisey Temporary Internet Files kehna asaan lagta hai bajaye Cache k, jo k thora technical word hai. Apko aisa nahi lagta :p )

Ager yeh sari files Junk hai to phir yeh Windows k ander kia ker rahi hai? inko to khud hi nikal jana chaiye tha, delete ho jana chaiye tha.  Asal mein Temporary Internet Files ka maqsad hai ap k Internet ko Speedup kerna …Surprised? heraan hona bhi chaiye apko yeh sun ker. Aye mein apko samjhata ho yeh chiz
 
Jab bhi ap Internet per pehli dafa kissi website per jatay hai, to apka browser check kerta hai k woh Internet Page ap k Temporary Internet Files / Cache (Folder) mein hai k nahi. Ager nahi hai to apka browser us Internet Page ko ap ki hard disk mein Temporary Internet Files k folder mein save ker leta hai. Is tarah jab ap dubara ussi website per jatay hai to phir apka browser us site ka webpage ap ki hard disk se load kerta hai. Is tarah apka net tez ho jata hai q k website k pages ap k hard disk se load hotay hai bajaye Internet se.
 
Let me explain you in a more easy way… How about a Picture Demonstration
 
Jab bhi ap website per jatay hai pehli dafa to us webpage ka sara data, pictures, scripts wagera ap k Cache folder mein save hojata hai. Issi wajah se ap ne kabhi gor kia ho to pata hoga apko k jab ap Internet connect ker k pehli dafa koi site kholtay hai to thora time lagta hai load honay mein us page ko.
 
Aur jab ap dosri dafa dubara ussi site per jatay hai to phir apka browser pehlay ap k hard disk mein Cache Folder check kerta hai aur phir wahi se pages load kerta hai ussi site k. Is se Internet ki speed mein tezi ati hai thori buhat.

Good Side

In pages k save honay ki wajah se ap k Internet ki speed tez ho jati hai, aur yeh tab feel hota hai jab ap browsing kertay hai. Aur hum sab bhi yahi chahtay hai k Internet Fast chalay. Aur q k Website k pages ap ki hard disk mein save hai to ap kabhi bhi ja ker us folder mein se woh webpage open ker saktay hai aur pictures bhi dekh saktay hai chahay Internet connected ho k na ho. Is chiz ko kehtay hai Offline Browsing.
 
The Real Fact
 
Internet ki speed ka tez hojana 1 baat hai, lekin is ki wajah se dosri kitni problems ap k computer mein ajati hai in sab k baray mein janna bhi zaroori hai. Un mein se kuch chizein yeh hai:

1. Ager apka browser Internet k pages ap ki hard disk mein se load ker raha hai (Temporary Internet Files / Cache Folder mein se) to ap ko caisey pata chalayga k ap jo website dekh rahay hai woh updated hai k nahi. Means aj kal k zamanay mein jaha per websites aur blogs rozana update hotay hai for example News ki website. To aisi situation mein to ap ko new news dekhnay ko hi nahi milaygi, q k apka browser pooranay pages ap k computer mein se load karayga.
 
2. Ager ap computer last 6 months se use ker rahay hai aur itnay hi time se Internet bhi use ker rahay hai to ap k computer mein buhat hi ziada Cache jama ho jayegi. Jis mein se ap ager kabhi ja ker webpage ya picture dhoondna bhi chaheingay to asani se nahi mil sakti.
 
3. Aisa her k saath pata nahi kitni hi dafa hota hoga k ap Internet use ker rahay hai aur ek dum se PC crash hogaya, Browser hang hogaya, Internet Slow hogaya, ya PC hi restart hogaya etc etc etc. In sari problems ki wajah Junk Files bhi hoti hai.
 
4. Sab se akhir mein, Hard Disk mein space ka masla. Mein janta ho k aj kal ki hard disk mein kafi ziada space hoti hai mager yeh Cache Files ki wajah se ap k hard disk mein kafi ziada space zaya ho jati hai.
 
 What’s the Cache Home Address

Temporary Internet Files / Cache ap k hard disk mein save hoti hai aur iski location depend kerti hai k ap kaun sa operating system aur Internet Explorer use ker rahay hai.
 

=> In WinXP just copy and paste the link in the my computer’s address bar - %USERPROFILE%\Local Settings\Temporary Internet Files
 
=> In Windows Vista and Windows 7, the Temporary Internet Files folder is located at:

C:\Users\Owner\AppData\Local\Microsoft\Windows\Temporary Internet Files

OR copy and paste below address in you my computer’s address bar
%LOCALAPPDATA%\Microsoft\Windows\Temporary Internet Files\Low
 
Temporary Internet Files folder Windows Vista and & Win 7 mein hidden hota hai. Is folder ko dekhnay k lye pehlay apko Folder Options mein ja ker 'Hide protected operating system files' per se check ko hatana hoga aur 'Show hidden files and folders' option enabled kerna hoga. (is folder ko dekhnay ka tarika ager mushkil lagay to mujhse email ker k pooch lejyega)
 
Last Words

Is topic ko detail mein discuss kerna zaroori tha taqay is k solution per baat kernay se pehlay sab ko yeh chiz achi tarah se samajh mein ajaye k problems ki asal wajah hoti kia hai. Next post mein Internet Cookies per discussion hogi aur phir hum in k solution per baat kareingay
 
Ap Apnay Reviews aur Comments neechay box mein dena mat bholyega please.
 
Read More
      edit
Published 7:08 AM by with 2 comments

Computer Mein Junk Files Ki Problem

To Read This Article In English Visit : Problem Of Junk Files And Temporary Files In Computers

Computer mein problems create honay ki wajah to buhat sari hoti hai.. mager aker situations mein in Junk Files ka buhat bara role bhi hota hai. Buhat saray logo ne is k baray mein suna hoga k han Temporary Files ko delete kerdena chaiye… problem create kerti hai… hard disk mein space leti hai, lekin bas yahi batein hi suni hongi is k ilawa kuch bhi nahi jantay hongay.

Jab k kissi chiz k baray mein janay bager ap us problem ko solve hi  nahi ker saktay. To is post mein aur next post mein hum discuss kareingay k Temporary files, Temporary Internet Files, Cookies, History aur Cache Files kia hoti hoti hai, in sab mein farq kia hai, in se kia hota hai aur inka treatment caisey kerna chaiye.

Types Of Junk Files And How They Are Created

Yeh Junk files ap k computer mein automatically create hoti hai. Junk Files ki types yeh hai

1. Temporary Files
2. Temporary Internet Files / Cache
3. Internet Cookies

Junk Files ap k computer mein installed softwares, ap ka internet browser aur system create kertay hai aur is ki wajah buhat sari hoti hai. Baaz dafa yeh is lye create hoti hai taqay files ka backup rahay, interent ki speed ko fast kernay k lye bhi hoti hai aur kafi dafa aisey hi create ho jati hai computer ki different problems ki wajah se. Yeh junk files ap k computer mein ahista ahista space lena shuro ker deti hai aur computer ko slow kerna shuro ker deti hai. In k kuch faiday bhi hai mager disadvantages ziada hai.

The Real Fact
 
Lekiin baat sirf computer mein problem create honay taq nahi hai, balqay Yeh Temporary Internet Files, Cache aur Cookies ko ager waqt per treat na kia jaye to aj kal ki websites ap ka track rakhti hai aur ap k computer mein se yeh information nikal ker Marketing purpose k lye bhi use kerti hai. Jaisey k ap kitna time spend kertay hai her websites per, Kaun si websites per ziata jatay hai, Is Tarah se woh record jama kertay hai aur ap ko target kertay hai different advertisements, spam wagera se.
 
Q k jab bhi ap net per form wagera fill kertay hai to woh information bhi hamaray computer mein save hoti hai (jis ka ziker mein future articles mein Cookies k section mein kerounga) aur baad mein ap ka address aur dosri details websites ap k computer mein se nikal ker apnay purpose k lye use kerti hai.

Oh My….So What i should do…

Pareshan na ho q k kissi bhi problem ka hal tabhi nikala jata hai jab us ko samjha jaye. So sab se pehlay samajhtay hai k yeh sab chizein hai kia.

Temporary Files

Laug Temporary Internet Files aur Temporary Files ko mix ker detay hai ya phir in ko 1 hi chiz kehtay hai, jab k aisa nahi hai. Temporary Files buhat saray softwares create kertay hai aur Temporary Internet Files sirf ap ka browser create kerta hai. Temporary Files ko hum TEMP files bhi kehtay hai. aur jis file ka extension TEMP hoga woh temporary file hoti hai.

Note: File extensions woh hoti hai jo kissi file k akhir mein likha hota hai for example MYFILE.DOC. yaha per .doc jo hai woh extension hota hai jis ka matlab hai k yeh document hai. Lekin yeh .doc ya .temp extensions hidden hota hai, apko nazer nahi ata normally.

Waisey to yeh Temp files ap k computer mein se automatically hi erase ho jani chaiye jaisey hi ap us software ko close karay jis ne yeh temporary file create ki hai for example ager mein Ms-Word mein kissi document per kaam ker raha ho to 1 temporary file bhi create hogi aur jaisey hi mein Ms-Word close kerounga to woh temporary file bhi computer mein se remove ho jayegi mager baaz dosray software aisa nahi kertay q k woh sahi se banay nahi hotay k woh aisa karay ya phir ap ka computer shutdown sahi se nahi hota ya crash ho jata hai chaltay chaltay ya hang honay ki wajah se bhi yeh temporary files ap k computer mein reh jati hai aur ahista ahista computer mein space lena shuro ker deti hai aur computer mein problems bhi create kerna shuro ker deti hai.

Last Words

Next post mein hum baat kareingay k Temporary Internet Files / Cache kia hoti hai, Kis tarah se create hoti hai, Internet Cookies kia hai and then hum is k solution per baat kareingay.

Ap apnay Comments / Feedback neechay comments box mein dena mat bholiyega please.
 
Read More
      edit