Tuesday, March 12, 2013

Published 6:11 AM by with 1 comment

Computer mein Fuzool Softwares Ki Mushkil

To Read This Article In English Visit This Link : Useless And Junk Softwares In Computers
 
Meinay previous posts mein discuss kia tha Temporary Files, Temporary Internet Files / Cache and Internet Cookies k baray mein. Is se pehlay k hum in junk files ki cleaning k baray mein baat karay, 1 baat aur important hai jis per mein baat kerna chahta ho, woh hai woh softwares jo k ap k computers mein installed hai.

In Simple Words
 
Ap ager apnay new gher mein jatay hai, to woh ek dum khali hota hai. Ab ap ahista ahista us mein furniture daltay hai, accessories kharidtay hai, yaha taq k gher poori tarah se bher jata hai. Kuch time k baad phir ap apnay gher k lye new chizein kharidtay hai aur poorani chizoun ko gher k konay wagera mein rakh detay hai (jaisey bed k neechay, gher ki chat per, store room mein) Ap ko ehsaas bhi nahi hota hai k apka apna gher kitni hi fuzool chizoun se bhara hua hai jis ki ab zaroorat hi nahi hai. Is ka ehsaas tab hota hai jab kabhi gher ki shifting kerni parh jaye .. to uffffffff……. Laug sir pakarh ker beth jatay hai really k yeh bhi rakha hua hai… is ko to kabhi bachpan mein use kia tha lolz.
 
Back to the Point

Issi tarah jab ap computer kharidtay hai, to us waqt us mein operating system (XP, 7) k ilawa kuch nahi hota, balqay baaz dafa to yeh bhi install khud hi kerna parhta hai. Bager kissi software k ap ka computer buhat fast aur smoothly chal raha hota hai. Mager kuch hi dino baad ap us mein softwares bherna shuro kerdetay hai, aur phir 1 time ata hai k apka computer waisa nahi chalta jaisa k pehlay chalta tha. Zahiri c baat hai k jab ap computer mein itnay ultay seedhay softwares daleingay to computer ko normal kaam kernay k lye bhi mushkil hoti hai..

Behind the Scenes

Ap jab kabhi bhi koi software install kertay hai to actually ap k operating system (XP, Vista, Win7) k Registry Keys, System Files, Running Files aur kuch aur jagaho per changes ajati hai. Ab ap ne woh software to use ker lia, mager software aisa nahi hai k bas khamosh ho ker para rahayga computer mein. Jab k aisa nahi hai, asal mein hota kia hai yeh dekhtay hai.
 

1.    Aj kal k softwares jab bhi ap apna computer on kertay hai, woh bhi ussi waqt start ho jatay hai. Jis ki wajah se ap ka computer slow start hota hai aur slow hi chalta hai.
 
2.    Phir woh softwares apnay ap ko internet se check kertay hai k woh software updated hai k nahi, jis se ap k internet ki speed per effect parhta hai, aur yeh sab kaam background mein ho raha hota hai.

3.    Internet Browsers website ko kholnay mein buhat time lagatay hai.

4.    Different kissam k pop-ups atay hai screen per.

5.    Apka computer sahi se shutdown aur restart bhi nahi hota.

6.    Yaha taq k kissi folder per ap double click bhi kertay hai to us mein bhi time lagta hai.
 
Actually softwares ko install kerna aur un ko test kernay mein koi burai nahi hoti, mager unko use kernay k baad jab unki zaroorat hi nahi hai, to unko computer mein bewajah aisey rakhnay se kia faida hai kissi ka. Bas 1 dafa jo chiz computer mein install ker di to bas, computer jab taq hai woh computer k ander hi rahaygi. Aur ahista ahista 1 k baad 1 softwares ki installations ki wajah se ap k computer ki halat din ba din slow and kharab hoti jati hai.

Dosri sab se barri problem jo ham sab k sath hai woh hai Software Installation. Matlab jab bhi hum koi software install kertay hai, to bas Next, Next and Next per click kertay rehtay hai. Yaha taq k software install ho jata hai aur sath mein dosri buhat sari kharab chizein bhi ajati hai. Kissi bhi software k installation k doraan buhat saray options atay hai, jin ko parhnay k baad hi yes ya no per click kerna hota hai. Her kissam k softwares k sath akser buhat sari dosri chizein (jaisey k browser toolbars wagera) bhi install ho jati hai hamari apni kamzori ki wajah se.


1. Kam as kam Month mein 1 dafa check karay k ap ne apnay computer mein kaun kaun se softwares install ker dye hai. Aur yeh check kernay k lye ap windows k control panel mein Add/Remove mein jaye ager WinXP use ker rahay hai werna to Program and Features open karay Win Vista aur 7 mein. Aur jin softwares ki zaroroat nahi hai unko foran uninstall kerdejye

2. Please, please and please (Meri samajh se bahir hai k mein kis tarah se apse request kero) k jab bhi kuch install karay to bas NEXT NEXT NEXT FINISH per mat click kertay jaye. Balqay her dafa button press kernay se pehlay check karay k us software k saath kuch aur to download ya install nahi ho raha… BE CAREFULL

3. Apnay computer mein kam se kam softwares ko rakhay jin ki apko zaroorat hai bas.

4. Hamesha authentic matlab jani pechani sites per se hi softwares download kariye (Jaisey k Cnet, Filehippo, ZedNet etc.)

Last Words

Apni next post mein mein apko bataounga k kis tarah se junk softwares ko clean kertay hai computer mein se. Aur phir us k baad hum dekheingay k softwares ko sahi tarah se uninstall casiey kertay hai, yaha taq k un k kissi kissam k koi bhi traces computer mein na baqi rahay.
 
Ap apnay Comments / Feedback neechay box mein dena mat bholyega.
 
      edit

1 comment:

  1. HAI MERAY COMPUTER K POPE BENEDICT. PLZ AAJ HI BATA DIJYE NA. WARNA ME KAL TAK PAGAL HO JAUNGA KAL K INTIZAR ME..

    ReplyDelete